Wednesday, 13 November 2013

Sara  khel hi sparsh ka  hai
Sparsh ka swaroop hi aapki, hamari bhavna ke swaroop ko batata hai
Hamari shesh sari abhibyakti bhi sparsh ke pahle ki athwa sparsh ke baad ki abhivyaktiya hoti hai
Bhojan, anand, protshahan, santwana, prem, vitrishna, tyag, asha, nirasha, pratiksha, utsah, pranay, khel, samaj, samuh, jivan, janm, maran, santan, santati, jivan prakriya, jiwan chakra, jivan  kal- ye sare kewalek sparsh ke hi adhin hai.
Sparsh ka daan hi shrestthtam daan hai.
Sparsh param purushkar hai.
Sparsh se hi shristi hai
Sparsh hi sambandh ko paribhasit karta hai, dikhata hai, batata hai.
Sparsh hi adhikar tatha dayitva ka nirdharan karta hai.
Sparsh hi atmiyata ka maapdand hai.
Sparsh hi sambhandho ki ghoshna hai ,parichayak hai.
Sparsh  hi anand hai,suraksha hai.
Sparsh hi prerna hai
Sparsh hi santosh tatha santushti hai.
Sparsh hi shanti hai.
Sparsh dena aur lena, yahi to jiwan chakra hai.
Sparsh ki nirantata hi shristi ki nirantarta hai
Sparsh hi gati hai,tap hai, urja hai
Sparsh ki iksha ,pravriti hi to aakarshan hai, gurutwarshakan hai
Sparsh hi to mass tatha volume,bhar tatha matra ka karan hai.
Sparsh hi to shakti, (force )  hai, propellent, fuel, indhan  hai.
Sparsh hi to lakshya hai.








No comments:

Post a Comment